Mai na pahuch paai toh kya, maine khat aapko bheja hai.
Likh ke sab kuch us chitthi me, paigam tumhe ja bheja hai
Mai na pahuch paai toh kya, maine khat aapko bheja hai.
Darshan ko jo pyasi ankhiya, unke aaunsuo ko bheja hai
Hatho se na sahi, aaunsuo se chhu lenge aaj charan aapke
yeh mauka bhi mila tumse hi, shukrana tumko bheja hai
mai na.... bheja hai
milne ki aas, murad hi rahi, par chithi tum tak pahuchai hai
milkar thi jo baatein karni, ab chithi se padni hai
padoge jarur fursat me usko, ye vishwas mera sai hai
mai na...bheja hai
Bolni thi jo, baatein aapse, utar k shabdo me bheja hai
Jawab ka tumhare intzar karungi , bulawa mujhko bhi aana hai
tere dar pe sar jhukane ko, betaab armaan bheja hai
mai na.... bheja hai
!!LOVE SAI!! TRUST SAI!!
Thankful!Grateful!Blessed!
No comments:
Post a Comment