Friday, September 23, 2011

Thankssss

Sadguru Shri Sai Baba,
Jab Maine Tumhara Pyaar Paya,
Mujhe Yaha Jeevan Jina Aya.
Tumhare Is Pyaar Ki Khushbu Se
Mujhe Mehkana Aya
Mujhe Muskurana Aya
Jo Baag Abhi Tak Sune The
Vahaa Tumhare Pyaar Ki Shakti Se
Phoolo Ko Khilna Aya
Jab Mene Tumhara Pyaar Paya
Mujhe Yaha Jeevan Jina Aya

Baba,
Jis Din Tum Ruthoge, Mar Jaaunga, Main
Jin Din Chhodoge
Kho Jaaunga, Main
Lekin Mera Pyaar
Tumhe Yaad Ayega
Tumhe Bhi Hasayega
Tumhe Bhi Rulayega
Mera Pyaar Yu Hi
Vyarth Naa Jayega
Vo Tumse Mila Tha
Isiliye Amar Ho Jayegaa
Sabhi Ko Jeena Sikha Jayega
Tumhare Pyaar Ki Shakti Se
Muskurana Sikha Jayega

Sadguru!
Ab Main Kahi Naa Jaunga
Har Baar Lout Kar
Tumhare Paas Hi Aunga
Phir Muskuraunga
Apne Saath, Sabhi Ko
Jeena Sikha Jaunga

Baba!
Vo Pal Bhi Kya Hasi The
Jab Main Tumse Mila Tha
Laga Tha! Shirdi Ki Bagiya Mein
Ek Naya Phool Khila Tha
Main Yu Hi Mahak Raha Tha
Idhar-Udhar Dekh
Chahak Raha Tha
Tabhi Mujhe Tumhara
Ek Deewana Mila
Jisne Mujhe Uthaya
Apne Gale Se Lagaya
Mujhe Tum Se Prem Karna Sikhaya
Mujhe Jeena Sikhaya..

Om Sai Ram
reference :- 
http://www.shirdisaibabastories.org/2009/08/mujhe-yaha-jeevan-jeena-sikhaya-shirdi.html